Performer: | Title: | Composer: | time: |
Babita Gunecha | Anuvrat Song 1: Naitikta ki Sursarita | Acharya Tulsi | |
| 5:05 |
संयममय जीवन हो।
नैतिकता की सुर- सरिता में जन - जन मन पावन हो।।
1..अपने से अपना अनुशासन, अणुव्रत की परिभाषा,
वर्ण, जाति या सम्प्रदाय से, मुक्त धर्म की भाषा ।
छोटे - छोटे संकल्पों से, मानस परिवर्तन हो ।।
2..मैत्री- भाव हमारा सबसे प्रतिदिन बढ़ता जाए,
समता, सह अस्तित्व, समन्वय- नीति सफलता पाए।
शुद्ध साध्य के लिए नियोजित, मात्र शुद्ध साधन हो ।।
3..विद्यार्थी या शिक्षक हो, मजदूर और व्यापारी,
नर हो नारी, बने नीतिमय जीवनचर्या सारी ।
कथनी - करनी की समानता में, गतिशील चरण हो ।।
4..प्रभु बनकर के ही हम प्रभु की, पुजा कर सकते हैं,
प्रामाणिक बनकर ही संकट - सागर तर सकते हैं ।
आज अहिंसा - शौर्य - वीर्य संयुत, जीवन- दर्शन हो ।।
5..सुधरे व्यक्ति, समाज व्यक्ति से, राष्ट्र स्वयं सुधरेगा,
'तुलसी' अणुव्रत सिंहनाद सारे जग में पसरेगा।
मानवीय आचार- संहिता में अर्पित तन - मन हो ।।
रचियता: आचार्य श्री तुलसी
Naitikta ki Sursarita
Naitikta ki sur sarita mein jan jan man paavan ho
sanyam may jeevan ho...sanyam may jeevan ho!
apne se apna anushaasan anuvrat ki paribhaasha,
varna jaati ya sampradaya se mukt dharm ki bhaasha.
chhote chhote sankalpon se maanas parivartan ho,
sanyam mai jeevan ho....sayyam mai jeevan ho!
maitri bhaav hamara sabse pratidin badhta jaaye,
samta sah astitva samanvaya neeti safalta paaye.
shudhh saadhya ke liye niyojit maatra shudhh saadhan ho,
sanyam may jeevan ho.. ooo...sanyam may jeevan ho!
vidhyarthi ya shikshak ho, mazdoor aur vyapaari,
nar ho nari bane neetimay jeevan charya saari.
kathni karni ki samaanta mein gatisheel charan ho,
sanyam mai jeevan ho.....sanyam mai jeevan ho!
Prabhu ban kar ke hi ham prabhu ki pooja kar sakte hain,
Pramanik ban kar hi sankat saagar tar sakte hain,
Aaj ahimsa shaurya veery sanyuta jeevan darshan ho,
sanyam may jeevan ho.. ooo...sanyam may jeevan ho
Sudhre vyakti, samaj vyakti se, rashtra swayam sudhrega,
Tulsi anuvrata singhanaad saare jag mein prasrega,
Manaviya aachar sanhita mein arpit tan man ho,
sanyam mai jeevan ho.. ooo...sanyam mai jeevan ho!