Nayee drishti ho,nayee shriShti ho anuvraton kedvara, Badle yug ki dhara
- Manviya mulyoo ki raksha anuvrat ka ashaya hai
Adhaytmikta pramanikta uska amal hridaya hai
Hinsa ke is gahen timir mein anuvrat ek ujara
Badle yug ki dhara
- Dharmik hai per nahi ki naitik bahut bada vismay hai
Naitikta se shunya dharm ka yeh kaisa abhinaya hai?
Is ulzhan ka dharm kranti hi kamaniya kinara
Badle yug ki dhara
- Mulyaparak shiksha ke yug mein sanyam ka ankan ho
Satya ahimsa se aaplavit jan jan ka jeevan ho
Bhogvad ke chakravat se sahaj mile chutkara
Badle yug ki dhara
- Vyakti banega swasth thabhi to swasth samaj banega
Saghan swartha ki murchha ka upchar anuvrat dega
Prakte ab par marth chetana upkrit ho jag sara
Badle yug ki dhara
- Badhe prabal purusharth sabhi main abhinav aastha jage
Jode sabke antar manas ko karuna ke dhaghe
Tulsi maitree mantra achat ho nabh mein jyon dhruv tara
Badle yug ki dhara